Nawab Pakwan Catering – Ramzan Special Offer
Is barkat bhare mahine Ramzan ul Mubarak mein Nawab Pakwan Catering aap ke liye laya hai ek khaas aur pur-kashish offer. Hum tamam Nazr o Niyaz, Sehri aur Iftari ke orders par khusosi discount de rahe hain taa ke aap apni ibadat aur mehmano ki khidmat be-fikr ho kar kar saken.
Humari pehchan lazeez zaiqa, behtareen quality aur saaf sutri tayyari hai. Chahe ghar ka intezam ho, masjid ka Nazr o Niyaz ho ya kisi idare ki Iftari, Nawab Pakwan Catering har order ko puri zimmedari aur ehtimam ke sath tayar karta hai.
Is Ramzan apne tamam catering orders ke liye Nawab Pakwan ka intikhab karein aur barkaton bhare lamhat ko mazeed yaadgar banayein.
Aaj hi apna order book karein aur khusosi discount ka faida uthayein!
📞 Call Now:03443117155
WhatsApp-03052084534